Hajj 2026 Planning? Saudi Arabia drops nayi accommodation rules – Pilgrims stay ka new system revealed!

Photo: globaliqnews.com


Saudi Arabia ne Hajj 2026 ke liye ek temporary licensing system launch kar diya hai jo Makkah aur Madinah mein pilgrims ke liye accommodations ka major issue solve karega. ✨

Ministry of Hajj & Umrah ke mutabiq, ab property owners ko seasonal license mil sakega jiske zariye woh pilgrims ko apni properties rent per de sakte hain – aur sab kuch Nusuk Masar platform ke through register hoga. ✅ Approvals Ministry of Tourism ke online portal se process honge, jab ke contracting deadline 13 Sha’ban 1447H (1 February 2026) rakhi gayi hai.

Hotels jinke paas already year-round licenses hain, unko is rule ka koi effect nahi hoga. Saath hi, licensed facilities directly Nusuk booking system se link hongi jisse reservations smooth, crowd control easy, aur pilgrims ke liye safe & organised experience ensure ho ga. 🕋

Pakistan ke liye ye initiative aur bhi important hai kyun ke yahan log saalon ki savings se Hajj ke liye tayar hote hain. 2025 mein record 189,000 Pakistanis ne Hajj perform kiya (half govt scheme, half private). Ab govt Pakistan ki Hajj quota ko 255,000 pilgrims 2026 ke liye raise karne ki planning mein hai.

Sath hi, govt consider kar rahi hai ke Hajj travel by sea dobara start ho aur Saudi Arabia ka Road to Makkah immigration clearance service aur airports tak expand kiya jaye — taake cost kam ho, aur especially elderly pilgrims ke liye journey zyada easy ban sake. 🚢✈️

Previous Post Next Post